Tuesday 9 September 2014

Best Sad Shayaris Hindi Sad Shayari For Love Hindi In English Wallpapers on Life PIcs Images Photos

Best Sad Shayaris Biography

source(google.com.pk)

Zindagi se poocho yeh kya chaahati hai,
Bus ek usi ki wafa chaahati hai,
Kitni masoom aur naadan hai zindagi,
Khud bewafa hai aur wafa chahati hai

Dheere dheere ab unke pyar ka dard kam hua...
Na unke aane ki khushi hui aur na jane ka gham hua...
Jab log poochhte hain hamari dastaan...
Main keh deti hu ek afsana tha jo ab khatm hua ..

Dard kitne hain bata nahi sakta,
Zakhm kitne hain dikha nahi sakta,
Aankhon se samajh sako to samajh lo,
Aansoon gire hain kitne gina nahi sakta...

Khel ko uske samajh na sake hum,
Aur wafaien uspe nisaar kar baithe,
Maqtool bhi hum maqsood bhi hum sacche hue,
Woh aur hamein beviqaar kar baithe...

Kabhi kisi se zikr-e-judai mat karna,
Is dost se kabhi ruswai mat karna,
Jab dil uth jaye hum se to bata dena,
Na batakar bewafai mat karna.

Ab shehr-e-jaan bachane ki khwahish nahi rahi,
Phir se anaa ganwane ki khwahish nahi rahi.
Ab tum palat aane ki khwahish ko maar do,
Ab tum ko aazmane ki khwahish nahi rahi.

Aankhon mein baaki reh gaye, ab tere khad-o-khaal se,
Lab pe hain kuchh sawal se, dil men hain kuch malaal se.

Tu jo gaya to yun laga, tanha hoon kainaat main,
Raatein thaki thaki meri, din bhi mere nidhaal se.

Itne kareeb hoon tere, rasta na wehem ko mile,
Soun tere hisaar mein, jagoon tere jamal se.

Mujh ko hain kaam aur bhi, kuch to karo mera khayal,
Aate ho jab khayal mein, jate nahi khayal se.

Tujh si haseen ghazal koi, mujh sa ghazal sara koi,
Duniya mein ho agar kaheen, waazeh karo misaal se.

Uss se gila aye dosto, itna sa hai ke wo mujhe,
Samjha nahi hai aaj tak, ghaafil hai mere haal se

Dukhon se rabt gehra tha, yeh hamne der se jaana,
Khushi ka zard chehra tha, yeh hamne der se jaana.
Zamane se bahut bach kar tumhein milne jahan pahunche,
Wahan qismat ka pehra tha, yeh hamne der se jaana

Jee uska bhi bhar aaya rula kar mujhko,
Thanda na raha khud bhi jala kar mujhko.
Khud milgaya khaak mein mila kar mujhko,
Kya fateh hui, shikast paa ker mujhko.

Use to kho hi chuke phir khyal kya uska,
Ye fikr kaisi ke ab hoga haal kya uska.

Wo ek shakhs jise khud hi chor baithe the,
Ghulaye deta hai dil ko malal kya uska.

Tumhari aankhon mein chhalkein nidamtain kaise,
Jawab ban ne laga hai sawal kya uska.

Tumhare apne iradon mein koi jhol tha,
Kaho ke milna tha aisa muhaal kya uska.

Wo nafraton ke bhanwar mein bhi muskura ke mila,
Ab is se badh ke bhala ho kamal kya uska.

Ab is tarha bhi na yadon ki kirchiyan chuniye,
Na tha firaq se behtar visal kya uska.

Ye soch kar na mile phir us se kabi,
Ke jaane hoga nidamat se haal kya uska.

Tabiyat in dinon begana-e-gham hoti jaati hai,
Mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai.

Wohi hai shahid-o-saaqi, magar dil bujhtaa jaata hai,
Wohi hai shammaa lekin roshani kam hoti jaati hai.

Qayamat kya ye aye husne do aalam hoti jaati hai,
Ke mahafil to wahi hai, dilkashi kam hoti jaati hai.

Wohi maikhana-o-sahabaa, wohi saagar wohi sheesha,
Magar aavaz-e-noshaano se maddham hoti jaati hai.

Wohi hai zindagi lekin 'Jigar' ye haal hai apanaa,
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai.

Dasht-e-dariya ke ye us paar kahan tak jaati?
Ghar ki deewar thi, deewar kahan tak jaati?

Mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,
Hijr mein ye husrat-e-deedar kahan tak jaati?

Thak gaye honth bhi tera naam lete lete,
Ek hi lafz ki ye tukraar kahan tak jaati?

Tu bohat door bohat door gaya tha mujhse,
Meri aawaz mere yaar kahan tak jaati?

Har taraf husn ke baazar lage the,
Meri ye chashm-e-khareedar kahan tak jaati?

Ek hi baat zamane ki kitabon mein nahin,
Jo gham-e-dost mein nasha hai sharabon mein nahin.

Husn ki bheekh na mangenge na jalvon ki kabhi,
Hum faqeeron se milo khul ke, hijaabon mein nahin.

Har jagah phirte hain aawara khayaalon kii tarah,
Yeh alag baat hai hum aapke khwabon mein nahin.

Na dubo saagar-o-meena mein yeh gham aye fakir,
Ke muqaam inka dilon mein hai, sharaabon mein nahin

Tumhara naam likhnae ki ijazat chhin gayi jab se,
Koi bhi lafz likhta ho to aankhein bheeg jaati hain.

Hazaron mausmon ki hukmarani hai mere dil par,
Main jab bhi tanhha hoon to aankhein bheeg jati hain.

Wajood apna na rooh apni,
Ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil lagi mein sakoon paya,
Na aashqi mein qarar paya,

Na wasl lamhe hi raas aaye,
Na firaq hi hum guzar paye,

Ajeeb chahat ke marhale hain,
Na jeet paye na haar paye,

Na teri yadoon ki dhundh utri,
Na dil ke daman ko jhaar paye,

No comments:

Post a Comment