Tuesday 9 September 2014

Hindi Love Sad Shayari Hindi Sad Shayari For Love Hindi In English Wallpapers on Life PIcs Images Photos

Hindi Love Sad Shayari Biography

source(google.com.pk)

Rehte hain hum door to kya hua,
Hum juda to nahi,
Baat nahi kar sakte to kya hua,
Hum khafa to nahi,
Na milna hamari majboori hai,

Sab kuchh hai mere paas par dil ki dawa nahi,
Door woh mujh se hai par main khafa nahi.

Maloom hai ab bhi pyaar karta hai mujhe.
Woh thoda ziddi hai magar bewafa nahi.

Barbad kar gaye wo zindagi pyar ke naam se,
Bewafai mili sirf wafa ke naam se,

Zakhm hi zakhm diye us ne dawa ke naam se,
Aasman bhi ro pada meri muhabat ke anjam se

Bewafa to woh khud thi,
Par ilzaam kisi aur ko deti hai.

Pehle naam tha mera uske hothon par,
Ab woh naam kisi aur ka leti hai.

Kabhi leti thi wada mujhse saath na chhorne ka,
Ab yehi wada kisi aur se leti hai.

Tere chaukhat se sar uthaoon to bewafa kehna,
Tere siwa kisi aur ko chahoon to bewafa kehna,

Meri wafaon pe shak hai to khanjar utha lena,
Shauk se mar na jaoon to bewafa kehna!!

Hamein na muhabbat mili na pyar mila,
Hum ko jo bhi mila bewafa yaar mila,
Apni to ban gai tamasha zindagi.
Har koi apne maqsad ka talabgar mila

Mat zikr keejiye meri adaa ke baare mein,
Main buhat kuchh janta hoon wafa ke baare mein,

Suna hai woh bhi mohabbat ka shauk rakhte hain,
Jo jante hi nahi wafa ke baare mein.

Kiya hai pyaar hamne jise zindagi ki tarha,
Woh aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarha,

Kise khabar thi badhegi kuchh aur tareeki,
Chhupega woh kisi badli mein chaand ki tarha,

Badha ke pyaas meri usne haath chhor diya,
Woh kar raha tha murrawwat bhi dillagi ki tarha,

Kabhi na socha tha humne qateel uske liye,
Karega woh bhi sitam hum pe har kisi ki tarha.

Sitam ko hamne berukhi samjha,
Pyaar ko hamne bandagi samjha,

Tum chahe humein jo bhi samjho,
Hamne to tumhein apni zindagi samjha.

Gair se tera aashnaa hona,
Goya achcha hua bura hona.

Kitni jaankah hai zameer ki maut,
Kitna aasaan hai bewafa hona.

Nasha-e-lazzat gunaah ke baad,
Sakht mushkil hai parsaa hona.

Aadmi ko khuda na dikhlaaye,
Aadmi ka kabhi khuda hona.

Dil ki baton pe kaun jaye faraz,
Aise dushman ka dost kya hona.

Woh sada sath nibhane ka jo wada karte,
Un se kyun tark-e-taalluq ka irada karte.

Kash ulfat mein woh yeh azm-e-ifaada karte,
Apni bahon ko mere naam kushaada karte.

Jante gar ke achanak woh bichhar jayega,
Pyar itna bhi na hum us se zyada karte.

Us se iqrar ki jab koi tamanna hi na thi,
Kis liye sirf tamnna ka eaadaa karte

Us ke chehre par is kadar noor tha,
Ke uski yaad mein rona bhi manzoor tha,

Bewafa bhi nahi keh sakte us ko faraz,
Pyar to hamne kia hai woh to bekasoor tha.

Tum agar yaad rakhoge to inayat hogi,
Warna hum ko kahan tum se shikayat hogi,

Ye to bewafa logon ki duniya hai,
Tum agar bhool bhi jao to riwayat hogi.

Saza pe chhor diya,
Jaza pe chhor diya,

Har ek kaam ko hamne,
Khuda pe chhor diya.

Woh hum ko yaad rakhte,
Ya phir bhula dete,

Us ka kaam tha,
Uski raza pe chhor diya.

Ab hawa ki marzi bujha de,
Ya phir jalaaye rakhe,

Chiragh hum ne jala ke,
Hawa pe chhor diya.

Ab us se baat bhi,
Karte to kis tarha karte,

Ye masla anaa ka tha,
Anaa pe chhor diya.

Is liye to wo kehete hain,
Bewafa humko,

Ki hum ne sara zamana,
Wafa pe chhor diya.

Juda hone ke mausam mein juda hona zaruri tha,
Na jane kyun kisi ka bewfa hona zaruri tha.

Mere dil ne jo is ko poojane ki inteha kar di,
To phir us bewafa ka bhi khuda hona zaruri tha.

Kisi se koi bhi shikwa na koi bhi shikayat hai,
Jo mere sath chahat mein hua, hona zaruri tha.

Bahut nazdeek the dil is liye ab dooriyan bhi hain,
Dilon ke darmiyan kuchh fasla hona zarori tha.

Use bhi dard dene ka bahut hi shauk tha mujhe,
Hamein bhi Dard-o-Gham se aashna hona zarori tha

Zindagi roz naye rang mein dhal jaati hai,
Kabhi dushman to kabhi dost nazar aati hai,

Kabhi chha jaye, baras jaaye, ghata bemausam,
Kabhi ek boond ko bhi rooh taras jaati hai

Roz jeeta hoon roz marta hoon,
Zulm khud apne sath karta hoon.

Bheed mein kho gaya kahin shayad,
Apna chehra talash karta hoon.

Main hi muljim main hi munsif hoon,
Isliye shayad faisle se darta hoon.

Samna ho to apna sar jhuka lunga,
Peeth pichhe to main mukarta hoon.

Waqt bhi kis tarah meharbaan hai,
Na to hasta na aah bharta hoon.

Gungunaye nadi mere khayalon ki,
Raah se uski jab gujartaa hoon.

Apne paon mein bandh kar manjil,
Main safar yun tamam karta hoon.

Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta,
Kasurwar hain hum ye bhala khabar kaise ho,

Jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai,
Aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.

No comments:

Post a Comment